Wah haanth jo ponchte then aansun mere,
Mit jaate then gham jinki duwaon ke asar se,
Dhundhte hain wo kaandhe, roti thi aankh jin par,
MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se!
Ungli pakad kar chalna, hajaar khwahishen karna,
Gujarti thi unki zindagi, hamare hi dagar se,
Yaad aati hai wo baaten, dil rota hai AAH aksar,
MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se!
Wah ruthna hamara, Wah aansunwen bahana,
Puri hoti thi khwahishe, humare is asar se,
Baagh aate hain yaad, chubhte hain kaante aksar,
MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se!
Dil todna na unka na taklif kabhi dena,
Nikaalna hai tumhen hi unhen ashkon ke sahar se,
Yatimo ko dekho unhen ja kar samjho,
kya hota hai tab,
MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se!
Wah dhundhli si aankhein Wah maasum sa chehra,
Yatimo ko dekhoge jab tum unki najar se,
Samajh jaoge AAH tum bhi, kya hota hai tab,
MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se!
EHSAS-E-ILTEJA hai , ek baat meri maano,
Apna aasiyana banana, unki mohabbaton ki asar se,
Bahut taklif hoti hai , hota hai KAASH hontho pe aksar,
MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se!
No comments:
Post a Comment